Aarey beta, pharma companies ka kaam hai dawai banana, par chemist-shop waalon ka kaam hai usko bechna! Woh jo bolte hain, hum wohi lete hain—sasta waala, mahanga waala, koi bhi. Meri sasuma ko pressure ki dawai lagti hai, ek din Rs 80 ki, agle din Rs 150 ki, lekin dono mein wahi molecule tha! Sun na, jab paise kam hote hain, toh dawai ki bottle uthate waqt dil dhadakta hai ki kya yeh sahi hai ya bas chemist bhaiya ne zyada paise wali pakda di?
#athletics#track-and-field
Jump in to reply — no account needed.