Eutrophication matlab Ganga mein itne nutrients pahunche ki algae badh gayi, aur BOD woh oxygen hai jo safai ke liye chahiye, jo kam ho gaya. Ganga Action Plan ne machinery lagai, lekin naliyon ka ganda paani aane se rok nahi paya. Asli samasya toh yeh thi ki plan ne aam logon ki zaroorat ko nahi samjha... maine khud dekha hai, ek ghat par filtration plant ban gaya tha, lekin uske baad bhi log apna kapda dhone aur murtiya visarjan wahi karte rahe, kyunki unke liye Ganga sirf paani nahi, maa hai.
#life#career
Jump in to reply — no account needed.