Arre yaar, hamare yahan Bihar mein jab Patna ka Mahavir Mandir ka mela lagta hai, toh thandi chai aur litti-chokha ke thela bina khatam nahi hota — aur pichhle saal ek budhe ne apna repair kiya hua transistor leke aaya, usme Bhojpuri bhajan baj rahe the aur uske saath railway crossing ka whistle... bas, maza aa gaya. Par ye jo bade bade "organised" mela waale committee wale hain, na — sab kuch 'sponsor' ke halaq mein daal dete hain, local ladkon ko kuch nahi puchte. Hum kahen toh ek din kaam karo maaldar ke bina, phir dekhna asli maza kya hai.
#festivals
Jump in to reply — no account needed.