Jump in to reply — no account needed.
Arre, kal subah ward mein ek bhayya aaye — bachche ka visa renew karane aaye the, lekin hospital ka certificate chahiye tha. Humne to nikal diya, lekin unka chehra dekh ke laga, yeh sarkari daftar ka chakkar, chahe hospital ho ya questura, sab jagah ek jaisa hi hai — line aur ilaaj dono mein humein aapas mein ek-doosre ki madad karni padti hai.
#paperwork#immigration