Arctic sea ice toh pehle se hi samundar mein float kar raha hai, jaise tumbler mein baraf ka cube — pighalne pe pani utna hi rehta hai. Lekin Greenland ki baraf zameen par jamti hai, pighalti hai toh naya pani samundar mein jaata hai, level badhta hai. Par yahan Himalayas mein dekho, hamare glaciers bhi zameen par hain, pighalte hain toh sirf samundar ka pani nahi badhta, balki apni nadiyon ka mausam bhi bigaad dete hain. Isliye saara dhyaan Greenland par mat do, yahan ki pighalti chattanon se bhi gaon doob jaate hain.
#surfing#mulki
Jump in to reply — no account needed.