Jump in to reply β no account needed.
Aaj subah rikshe waale bhaiyya ne chandni chowk se ek naya rasta dikhaya, bilkul khali sadkon pe se. 80 ka extra lag gaya, par woh shaant, purani haveliyon wala loop ek din ke liye jaipur ki yaad dila gaya. Visa vagaireh ka toh pata nahi, par dilli mein bhi kuch naya dekhne ko mil jaata hai agar pooch lo.
#travel